Did We Ever Met?

 

Based on a real Life incident

"Did We Ever Met?”

By

Sanjay Kumar

F5 Shree Ganesh Apartment Saadh Nagar

Palam, Delhi, 11045

7303853148

Sanjaykumar73189@gmail.com


FAde In:

Did we ever met?

INT-DAY-METRO

Anirudh, Shrija and Rudra are travelling in a metro. They are talking to each other than Anirudh looks at someone and is shocked.

Anirudh

Rudra, wait. I will come in a moment.

Rudra

Kaha ja raha hai

Anirudh (Happily)

Har sawal ka jawab nahi hota dost. Tu do minute ruk mai 5 minute me aaya.

 

Anirudh goes to a corner seat where a girl was sitting. and keeps looking at her until she notices him.

Bini (confused)

Excuse me?

Anirudh (Happily)

If you don’t mind can ask you something.

Bini

Ok

Anirudh

Is your name Bini?

 Bini

Yeah. Par tumhe kaise pata

 

Anirudh

Aur tum Budding Rose public school se passed out ho?

 Bini

Ha par…

 Anirudh

Batch 2018-19?

 Bini

Do I know you?

Anirudh

Are janti ho! Are tum mujhe achi tarah pahchanti ho. Mai Anirudh, same school, same batch same bus, mai wahi pagal writer jiski bekar shayari par tum hasa karti thi, aur mere liye hi tum apne bagal wali seat rakha karti thi. (Looks at the girl next to him) Aur inhe dekh kar lag raha hai ki ye humari faltu shayri se seedha sock ho gayi hai.

(Anirudh looks at the next girl)

 Anirudh

Mana ki aap dono dost hai par zada sarakiye, hum purane dost hai. Mai janta hu ki jab koi anjaan insaan apki baate toke to bura lagta hai par aaj thoda bura maan lijiye Kyuki humara milna shayad mukadar me likha tha... aur aap mukadar ke likhe ko na toke.

(Anirudh looks at Bini)

Anirudh

Har baar ki tarah mai tumhare bagal mai hi baithuga. Par kya hai ki mai apne dosto ko bhi chod nahi sakta. To tum do minute ruko mai use abhi batakar aaya. Ache dost hai bura nahi manenge.

(Bini Nodded. Anirudh goes back to Rudra and Shrija)

 Anirudh

Yaar vo ladki mai gayi. Wahi email wali ladki maine bataya tha na. merra pahle pyaar jisse mai email se baat karta tha.

Rudra

Kaha hai vo

 Anirudh (Points at the girl)

Are vo us seat par hai. Wahi hai vo.

Rudra (Confused)

Par… (Shrija holds Rudra’s hand to stop him)

 Shrija (Fake smiles)

Acha theek hai. Tum jao use baat karo. Good luck

Anirudh

Bye

 Shrija

Bye

(Anirudh goes back to Bini and sits next to her)

Anirudh

Finally we met again.

 Bini

Kyu tumhe ye sapna lag raha hai.

Anirudh

Ha shayad. Aaj mai bahut kush hu. Maine to socha tha hum kabhi nahi milenge.

 Bini

Kyu tumhe kya laga mai tumhara peecha itni jaldi chod dungi?

Anirudh

Aaj kaha hai dobara ye mat kahna. Ek baar kho chuka hu tum hai. Dobara nahi kho sakta. Acha khone se yaad aaya tum kisi social media par ho ya nahi.

 Bini(smiles)

Kya lagta hai?

Anirudh

Pahle ki tarah mujhe nahi lagta ki tum kisi social media par hogi. Par kyu?

 Bini

Bas yu hi. It’s a waste of time I believe.

Anirudh

Madam agar is age me time waste nahi karogi to budhhi hone ke baad karogi kya? (laughs)

 Bini

Time waste kyu karna jab mai is time ko use kar utilize hu.

Anirudh

Tum bilkul nahi badli.

 Bini

Insaan ko badalna bhi nahi chahiye

Anirudh (slowly smiles changes to sadness)

Sahi kaha………  par yaar tum kyu badal gayi? Hum dono saath me kitne khush the. Roz baate karte the email par. Yaad hai tumne hi kaha tha email par jab bhi mai mail karunga tab tum reply dogi. School me hum most adorable couple the. Par school khatam hone ke baad tumne mujhse kabhi baat nahi ki. Infact purani wali baate bhi mujhe kahi nahi mili.

 Bini

I am sorry yaar. Mai busy ho gayi thi.

Anirudh

Itna ki ek minute nahi tha hi ka reply me hi bhejne ke liye? Pata hai kafi dosto ne samjhaya mujhe ki tum reply nahi dogi. Par maine try nahi roki. Har roz ek mail hi ke saath dal deta tha. Par tumhara reply nahi aaya. Pata hai maine socha tha ki jab tum milogi to mai tumhe bahut datunga, bahut sunaunga. Par dek na yaar aaj tu mere saamne hai par mai tujhe kuch nahi kah sakta. Tujhe khone ki himat nahi hai mere andar dobara.

 Bini

I am sorry yaar.

Anirudh

Before its too late, I want to have a selfie and show it to my friend and tell him ki humare chapter me abhi THE End nahi aaya hai.

(Clicks a photo and sends to Rohan.)

Anirudh(Reading what he had typed)

Dekh bhai maine kaha tha na humare mukadar me likha hai dobara milna. Dekh aaj fir hum mil gaye. I am with Bini today. Mujhe pata hai tu party mangega de dunga, chinta mar kar.

Bini laughs

Anirudh

And one last thing, mera stop aane wala hai to isse pahle ki der ho jaye, I will say that same thing I had said on propose day when we were in school. Bini I like you a lot. And I don’t want any answer from your side because these are my feelings. And mai apni feelings tumpar nahi thopna chahta.

 Bini

Aur mai bhi wahi kahungi jaisa maine tab kaha tha, ITS OKAY YAAR.

Anirudh

Mera stop aa gaya. Mai chalta hu. Hum dobara milenge?

 Bini

Mail par batati hu.

(Anirudh smiles and has tears in his eyes)

Anirudh

Mile hum bas do pal ko
jiye bas hum do pal ko

(Bini smiles and Anirudh leaves the metro, with also get down Shrija, and Rudra)

Rudra

Tumhe mujhe use batane kyu nahi diya

 Shrija

Kyuki maine itne dino ke baad use chahre par itni zada khushi dekhi thi. Mai use ye nahi batana chahta thi ki…………

Rudra

Tumhe use pyar hai.

 Shrija

Use usse pyar hai.

RUDRA

Par vo to

Shrija

Use nahi pata chalna chahiye.

RUDRA

Ishq maare, haye ishq haare

 

Anirudh (Phone Rings)

Kiska phone aa raha hai. Are Rohan.

 Rohan (on phone)

Kyaa haal hai bhai aur ye kya photo bheji hai.

Anirudh

Kyu blur hai kya?

 Rohan

Photo ek dam clear hai. Par photo me tu akela hi hai. Bini kaha hai?

Anirudh

Kya baat kar raha hai. Photo mai hai to sahi mere just bagal me baithi hai yaar vo.

 Rohan

Bhai tere bagal me khali seat dikh rahi hai mujhe bas.

Anirudh

Bhai mazak kar raha hai na

 Rohan

Bhai mai tere saath mazak nahi kar sakta…… Bhai I think you should consider a psychiatrist.

Anirudh(Angrily)

Tujhe kya lagta hai mai pagal hu.

hangs up the phone. and GOES HOME. ANd Drafts an Email.

 

To: Bini*******@xyzmail.com

Subject: DID we ever met

Body: Hum mile the anjaano ki tarah. Aur kuch dino me jaan ban gaye. Mujhe badalne wale log pasand nahi hai, aur mujhe tumne yahi baat achi lagi thi ki tum mere propose karne ke baad bhi nahi badli thi. Par yaar aaj ye lag raha hai ki tum asal me kabhi thi hi nahi. Tum mere dimag ki bas ek creation ho jo sirf mujhe dikhai deti ho. Aaj ke dau me dekha hai koi social media par na ho, infact uska ek photo bhi kisike paas na ho.

Hum ek baar mile the to kis film ki tarah mahol tha, gaana baj raha tha background me (ha yaad hai mere hi phone se baj raha tha. Mudda samjho) aur hum dono ne ek doosre ko cross karene ke baad ek doosre ko dekha tha aur ek doosre ko ek doosre ko dekhte hue pakad bhi liya tha. Ye kis film se kam hai kya bhala. Tum ho ya nahi ho, par yaar mai is baat ho janta hu ki ye kahani aise achanak se band nahi hogi. Dekhna ye dava hai mera hum milenge zaroor. Ab hero ko heroine na mile kya kaha ki achi baat hui bhala.

 

 

 

 

FAde Out:

the end

Comments

Popular Posts