Copyright subject selection

 Scene 1

INT DAY Avinash's house

Avinash is sitting in the corner of his room, crying badly and angry.


             V. O. (Avinash)

Kal kare so aaj kar,

Par tab kya karega jab teri lene lage sab. Hum sab ki zindagi me ek baar aisa zaroor hota hai ki zindagi aapki marne par ad jaati hai. Aur aise me aapko koi nahi bacha sakta. Ab mujhe hi dekh lijiye, jis situation ko mai itne time se avoid kar raha tha aaj vo mere saamne hai, aur mai chah kar bhi kuch nahi kar sakta.



Typewriter types of a black screen, “A few days ago”


Scene 2:-


Int Night Avinash's house's dining table


            Avinash's dad

Aur beta kya socha hai. 10th ka result aane wale hai, konsa subject loge?


           Avinash

Papa mai soch raha hu ki humanities le lu. Language me masters karke full time writer banunga


            Avinash's dad

Kya humanities lega. Isi liye itna paisa lagaya teri padhai par ki tu aage jaake ghas khode?


           Avinash

Papa jaisa aap soch rahe ho vaisa kuch nahi hai. Ab bahut scope hai humanities me.


           Avinash's dad

Chup baap ko sikhayega tu. Zubaan dekho kaise chalti hai iski. Agar science na leni ho to ghar se nikal ja mere. Iska bhai ne IIT me admission lekar humara naam roshan kiya aur ise dekho naak katane par tula hua hai. 


Avinash leaves the dinning table angrily and goes into his room. But before he enters his room


           Avinash's dad(angrily)

Vo apni poem wali book yaha rakh de. Writer banenge , padhai likhai hoti nahi writer banege


Avinash gusse me apni book dining table par rakh kar apne room me chala jata hai, Aur waha gusse me apna sar pakad kar baith jata hai. Uski poori rone wali halat ho gayi thi par rota nahi hai.


Scene 3

INT Day Avinash's house


Avinash ka bada bhai IIT se wapas apne ghar aata hai. Par Avinash ko apne bhai ki aawaz sun kar zara si khushi nahi hoti. Vo apne bhai ko dekhne bhi nahi aata.


           Avinash's brother

Papa Avinash kaha hai. Dikhai nahi de raha.


           Avinash's dad

Apne kamre mai hai. Kal raat subject selection ke liye daat diya to apne kamre se bahar hi nahi aaya abhi tak. Ab tu hi samjha ise, science lega to kuch banega, warna zindagi bhar ghas khodta rahega.


           Avinash's brother

Theek hai mai dekhta hu


Scene 4

INT Day Avinash's room


Avinash ka bhai uske kamre me jaata hai. Avinash apni table par baith kar padh raha hota hai aur apne Bhai ki presence ko zara bhi acknowledge nahi karta.


            Avinash's brother

Aur bhai kya chal raha hai.


            Avinash (angrily)

Kyu. Taki aapko mere upar hasne ka ek mauka mil jaye?


            Avinash's brother

Oh to bhaijan naaraz hai. Lakin mujhe konse gunah ki saza mil rahi hai ye to bata dijiye writer babu


            Avinash

I am no more a writer.


            Avinash's brother

Kyu kya hua? Tune likhna kyu chod diya.


           Avinash

Ab ghar me ek IITian hoga to ghar me kisi ko to apne sapno ko sooli par chadhana padega


           Avinash's brother

Lakin maine kya kiya.


      Avinash (angry and crying)


Kyuki mere liye vo Sharma ji ke ladke aap ho jiko dekh kar har insaan ke maa baap uske jaisa banne ko kahte hai.


          Avinash

Oh. To jo bhai teri zindagi ke har ek raaz ko janta hai. Aur sirf janta hi nahi hai balki support bhi karta hai, aaj tumhe vo Sharma ji ka ladka lag raha hai


Avinash takes a pause and there is silence in the room for sometime.


          Avinash (with tears in his eyes)

Yaad hai, maine tujhe writting sikhai thi. Janta hai kyu. Jab mai teri umar ka tha, tab mujhe bhi writer banna tha. Par jis situation me tum ho, usi me mai tha tab. Par papa ne kisi Sharma ji ki ladke ko dekh kar mujh science dilwa di. Aur us time mai kuch nahi kar saka.


Us time mere pass koi nahi tha jo mujhe ye bata sake ki mujhe kya karna hai.


           Avinash (feels guilty)

Sorry bhai.


           Avinash's brother

Pata problem kya. Problem ye nahi hai ki tum konsi subject lete ho. Problem ye hai ki jo tum banana chahte ho vo tum apne parents ko bata nahi paate ho. Aur agar bata do to bhi parents ke man me ye doubt rahta hai ki tumne to kah diya ki mujhe writer banana hai, par tum writer banoge hai. Agar singer banana chahte ho to singer banoge kaise?


           Avinash

Hmm. Par kisiko force karna bhi to sahi nahi hai na.


           Avinash's brother

Dekh zindagi me tujhe koi bhi chahe kuch bhi kahe, par hume apne dil ki sunna. Humare parents hume force nahi karte, problem ye hai ki unhe pata hi nahi hai ki jis field me hum jana chate hai us field me jaate kaise hai. Unhe pata hai engineering ke liye pahle science fir engineering college aur fir job. Par writer ka to kuch pata hi nahi hai na aisa process. Upar se tumhari zid unke gusse ko bhadkane ka kaam karti hai.


            Avinash (confused)

To abhi mai kya karu? 


            Avinash's brother

Pahle jaake papa se maafi maang aur fir unhe pyaar se poori baat bata. Kya banana hai kyu banana hai kaise banega. Vo thoda datenge, thoda naaraz honge to chup rahna. Dekh parents sirf humara bhala chahte hai. To last me maan hi jayenge. 3 ediots me bhi abba maan gaye the na.


             Avinash

Thanks bhai. And sorry for that.


             Avinash's brother

Chal koi na. Ye baat tanu kaisi hai, propose kiya use ya nahi abhi tak.


             Avinash

Shhh. Kya bhai marwaoge kisi din.


Both of them laugh


Scene 5


SCENE 4 BLURS AND TYPEWRITER TYPES 


"OUR PARENTS ALWAYS WISH OUR BEST. DON'T FIGHT WITH THEM, SIT WITH THEM AND RESOLVE EVERY ISSUE."



SCENE 6

" Listen to your heart and choose your subjects. Don't listen to what people are saying"


Comments

Popular Posts